Ek Din Achanak Part 21
Jay ne ek ummed se Jawed ko kaha “Jawed Bhai aapko yaad hai. Sohni”
“Kaun Sohni”
“Are wahi jise aapne Sonali samajh liya tha jab main aapko Sonali se milane le gaya tha.”
“Kaun wo Jassi jiske gun aaj tak poori class gati rehti hai”
“Haan wahi, wo Sonali ke ghar ke paas hi rehti hai. Ek baar Sonali ne bataya tha mujhe”
“Ye to achhi khabar hai, usse baat kar tu aur pata kar”
“Kya Jawed Bhai aap majak achha karte ho. Mujhse to aajtak usne baat bhi nahin kari. Badi nakchadi hai wo. Padhne mein hosiyar hai to apni naak pe makkhi bhi baithne nahin deti. Lekin suna hai aap par marti hai”
“Ye galatphami tumhare man mein kisne daal di ki wo mujh par marti hai”
“Sonali bata rahi thi ki jab kabhi bhi uski baat Sohni se hoti thi to wo aksar School ki cricket team ke captain ke baare mein baat karti thi. Aur ye sab jaante hain ki wo aap ho”
“Tum kehna kya chahte ho saaf saaf batao”
“Ab wo aap par marti hai to”
“Ek minute, main samajh gaya tu kya kehna chahta hai. Main usse pata karu Sonali ke baare mein”
“Haan Jawed Bhai aapne badi jaldi samajh liya”
“Kyun phansi par latka raha hai bhai. Isse to achha hai mein kunwe mein kood jaun”
“Kaisi baat karte ho Jawed Bhai. Kya aap mere liye itna bhi nahin kar sakte kya”
“Lekin kya wo mujhe batayegi”
“Bilkul batayegi, wo aapko chahti hai. Agar seedhe seedhe bata de to theek nahin to aap bhi thoda pyaar ka natak kar lena uske saath.”
“Tera dimag bada tej chal raha hai ab. Tab kya ghaas charne gaya tha jab Sonali se pata poochna tha. Khud to kuch kiya nahin aur mujhe bali ka bakra bana raha hai. Maine hi galti kar di yahan aakar”
“Jawed Bhai agar aapko aisa lagta hai ki aapne yahan aakar koi galti kar di to aap chale jayiye. Main jaisa hun theek hun” Jay ki aankhen nam ho gayi ye kehte kehte
“Are yaar main to majak kar raha tha. Ab tere liye itna to karna hi padega. Allah se dua karna ki jhoota pyaar karne ki naubat na aaye mere saamne. Wo mujhse nahin ho payega. Wo aise hi bata de to achha hai”
“Theek hai Jawed Bhai main aapka ehsaan jindagi bhar nahin bhulunga”
Jawed Bhai ko gussa aa jaata hai aur ek thappad jad deta hai Jay ke muh par “Saale main tujh par ehsaan kar raha hun. Main tera dost hun. Tere liye jaan hajir hai. Lekin tujhe dosti ki koi kadar nahin hai. Dosti ko ehsaan ka roop de diya tune”
Jay ki aankhon mein aansu ho gaye aur Jawed Bhai ke gale lagte huye usne kaha “Mujhe maaf kar do Jawed Bhai. Main kya kar raha hun, kya bol raha hun kuch samajh mein nahin aa raha hai.”
Jawed Bhai ne use dilasa dete huye kaha “Are yaar koi baat nahin.
Aisi baat aaj ke baad dubara mat karna. Achha school mein to chutti pad gayi hain. Ye Jassi kahan milegi. Ab jab Sonali ka ghar hi pata nahin to uska kya khaak pata hoga”
“Uski chinta mat kijiye aap. Mujhe pata hai ki Manish uski behan ka deewana hai. Aur ye baat bhi Sonali ne hi mujhe batayi thi. Manish kai baar unke ghar jaa chuka hai. Aapke paas uska number to hoga hi. Usse pata chal jayega”
“Badi khabar ikatthi kar rakhi hai. To saale tune pehle kyun nahin koshish ki.”
“Bhai pehle dimaag hi kaam nahin kar raha tha. Ab aapka sahara mila hai to kuch kuch yaad aa gaya”
“Chalo shukar hai waqt rehte yaad aa gaya. Warna pata chalta jab Sonali apne bachhon ke saath iske ghar ke saamne se gujar rahi hogi tab ye uske ghar par baarat le jaane ki tayyari kar raha hoga”
“Kyun majak uda rahe ho Jawed Bhai”
“Chal chod tension aur chal kahin ghum kar aate hain”
Jay ka dil halka ho gaya tha is ummed ke bharose ki jaldi hi wo aur Sonali ek ho jayenge lekin use kya pata tha ki aane wale din uski jindagi badalne wale hain.
Shaam ko dono ghum fir kar aaye aur Jawed Bhai apne ghar par aa gaye. Itne dino baad jahan Jay ko sukun ki neend, jo chinta, pareshani aadi se door tho wo aayi wahin Jawed Bhai ki neend hi ud gayi thi. Baar baar soch rahe the “Ye Jay ne mujhe kis musibat mein fansa diya. Kisi se ladne ko bol deta to akela chaar-paanch se bhid jaate lekin ye ek bala hi beesiyon par bhari hai. Allah meri madad kar”
Jaise taise raat gujri aur subah subah Jay ne padosi ke mobile se Jawed Bhai ko farman suna diya ki Manish ko phone karke Jassi ka pata karo. Jahan Jawed Bhai soch rahe the ki aaram se soch samajh kar koi hal nikalenge wahin is Jay ko bahut jaldi padi hai. Khud to kuch kiya nahin aur mujh bechare ko fansa diya.
Khair dil par pathhar rakh kar Jawed Bhai ne Manish ko phone kiya aur usse Jassi ke bare mein poocha. Manish hairan ho gaya aur usne Jawed Bhai se poocha “Apko Jassi ka pata kyun chahiye. Kahin uski behan ke chakkar mein to nahin hain aap. To sun lijiye wo sirf meri hai”
“Are yaar tum galat samajh rahe ho. Mujhe uski behan se kuch lena dena nahin hai”
“To kya us Jassi se lena dena hai” Hahaha . Hanste Hanste Manish ke pet mein dard ho gaya.
Jawed Bhai ne samajh liya ki aise ye nahin samjhega. Isliye unhone kaha “Manish ek kaam kar. Tu mere ghar aa ja. Phir mein tujhe itminan se batata hoon.”
Manish maan gaya aur koi ek ghante baad wo Jawed Bhai ke saamne unke ghar mein baitha huya tha. Jawed Bhai ne use short mein sabkuch bata diya lekin Jassi se unhen pyaar ka jhoota natak karna pad sakta hai ye nahin bataya kyunki unhen pata tha agar Manish ko is baat ki jara bhi bhanak pad gayi to poore school mein, sab doston mein is baat ka dhindhora pit jayega.
Manish ne saari baat sunne ke baad kaha “Jawed Bhai ek baat bataiye. Jaise aapne kaha ki Sonali ka pata Jassi jaanti hai lekin meri baat to uski behan se bhi hoti hai. Kyun na usse poochun. Ye Jassi badi nakchadi hai. Pata nahin batayegi ya nahin.”
Jawed Bhai ki to khushi ka thikana hi nahin raha. Wo kehte hain na Andha kya maange do aankhen. Bas unhone turant Manish ko kaha
“Yaar bada achha idea diya hai. Tu turant jaakar pata kar. Mera
mobile ghar par hai. Usme unke ghar ka number hai. Main ghar jaakar pata karke aapko bata dunga”
Jawed Bhai ne kaha “Theek hai yaar lekin yaad se is kaam ko turant karna hai warna apna Jay bas devdas hi bana ghoomta rahega”. Iske baad dono mein kuch idhar udhar ki baatein huyi aur Manish apn ghar chala gaya.
Jawed Bhai Manish ke jaate hi Jay ke paas gaye aur use saari baatein batayi. Jay bhi khus ho gaya ki saari mushkile kitni asaan hoti jaa rahi hai. Aaj ka din kitna khusi bhara hai. Itne dino mein uske chehre par aaj pehli baar muskan khel rahi thi.
Manish ne jaate hi Jassi ke ghar milaya to khuskismati se phone uski behan ne hi uthaya tha. Manish uske phone uthate hi pyaar mohabbat ki baat lekar baith gaya uske saath. Dono kareeb ek ghante tak aise hi baatein karte rahe. Tabhi usne dekha ki Jawed Bhai ka phone waiting par aa raha hai. Usne number dekhte hi Jassi ki behan se poocha “Janu tumhe Sonali ke ghar ka pata hai”
“Kaun Sonali”
“Are wahi jo tumhari behan ki class mein padhti hai. Isi mohalle mein to rehti hai”
“Tumhe usse kya kaam. Waise to mujhe pata nahin lekin agar pata hota bhi to nahin batati. Pehle tum mujhe ye batao tumhe usse kya lena dena”
“Are yaar tum to naraaz hi ho gayi. Waise gusse mein tum aur bhi khubsurat lagti ho”
Manish ki baatein sunkar wo Sharma gayi lekin phir gambhir mudra bana kar kaha “Baatein mat ghumao. Pehle jawab do ki uska pata tumhein kyun chahiye.”
Manish ko uski baton par hansi bhi aa rahi thi ki wo kitna possessive hai use leke aur apne upar garv bhi tha ki use itna pyaar karne wali ladki mili hai. (Aksar aisa hota hai jisse hum pyaar karte hain agar wo kisi aur ki tareef kare, yaa kisi aur ki taraf dekhe, yaa aapko andekha kare, ignore kare to apne premi ko khone ka ek anjaana sa dar laga rehta hai. Wo aapse kahin door na chale jaaye yaa aapko bhool na jaaye bas yahi chinta satati rehti hai. Isliye aksar premi khaskar ladkiyan ek dusre ke prati itne possessive hote hain)
Manish ne kaha “Janu jaisa tum samajh rahi ho waisa kuch bhi nahin hai. Main to bas Jawed Bhai ki agya ka paalan kar raha tha.”
“Kya Jawed wohi na jo school ki cricket team ka captain hai”
“haan wohi hain”
“Wo to school ke sabse shareef bachhon mein se ek mane jaate hain jo apne khel aur padhai se hi pyaar karte hain. Wo kisi ladki ke chakkar mein hai. I don’t believe this”
“Are yaar tum meri baat ko to poora sun hi nahin rahi ho.”
“Tum khud to kuch bata nahin rahe ho aur mujhse keh rahe ho main bata nahin rahi ho. Bas tumhe to us Sonali ka hi pata poochna tha. Meri to koi chinta hi nahin hai. Mujhe Sonali ka pata nahin malum. Didi ko pata hai. Ab khus. Pad gayi kaleje mein thandak. Mil gayi shanti”
“Janu tum to naraaz ho gayi. Main itni der se tumse baat kar to raha tha”
“Achha to iska matlab tumhara dil bhar gaya mujhse. Bahut jyada samay kharab ho gaya hoga tumhara. Rakhdo Phone ab kyun baat kar rahe ho. Jis kaam ke liye phone kiya tha wo to ho gaya”
“Are yaar tum baat ko kahan se kahan le gayi. Mujhe kya lena dena is Sonali se. Wo to Jawed Bhai ne kaha to pata kar liya. Main to sirf tumse baat karna chahta tha. Kya tumhe mujhpar jara bhi bharosa nahin hai”
“Agar Jawed ko pata karna tha to wo khud phone karte na. Tumse kyun pata karwate. Tum jhoot bol rahe ho. Tumhe lagta hai koi aur mil gayi hai. Isliye ab mujhse baat karna tak bhi tumhe bhari lag raha hai”
Manish ne man hi man socha ki ye Jawed Bhai ne bhi kahan fansa diya. Jay ki nayya to waise hi doob rahi hai meri bhi gehre samunder mein hichkhole khaane ke liye utaar di. “Janu maine tumse kabhi jhoot bola hai kya jo aaj bolunga”
“Nahin jhoot to kabhi nahin bola par”
“Par war kuch nahin. Jawed Bhai ko na to tumhare ghar ka pata tha aur na hi koi number tha unke paas. Maine isliye nahin diya taaki tumse baat karne ka ek bahana mil jayega mujhe. Isliye maine tumse phone karke pooch liya. Lekin tum to baat ko kahan se kahan pahuncha rahi ho”
“Sorry Manish. Please mujhe maaf kar do. Main bas”
“Koi baat nahin Janu, lekin is galti ki saza tumhe jaroor milegi”
“Aur wo saza kya hogi ye batayenge muje aap zara”
Hahaha “Jyada kuch nahin bas ek sweet kiss”
“Mujhe pata tha tum aisi hi kisi cheez ki demand karoge”
“Ab tumhein malum tha ki aisa karunga to apne aap hi de deti”
“Haan haan apne aap de deti. Bano mat jyada. Sirf ek hi kiss doongi.”
Iske baad Jassi ki behan ne phone par hi ek deep kiss di jiske rumani ehsaas mein dono kuch pal ke liye kho gaye. Iske baad kuch idhar udhar ki baatein huyi dono ke beech aur Bye, Love You aadi keh kar phone rakh diya.
Manish ne baat khatam hone ke turant baad Jawed Bhai ko phone milaya jise Jawed Bhai ne pehli hi bell mein utha liya jaise wo isi phone ka kabse intezar kar rahe the (Waise intezar lazami bhi tha kyunki unki jindagi daanv par jo lagi thi). Wo to bas dua kar rahe the ki Manish ko Sonali ka pata mil gaya hoga aur ab wo Jay ko iski khabar dekar aage ki planning ke bare mein sochenge.
Jawed Bhai ne phone uthate hi Manish se poocha “Manish jaldi bata baat huyi kya”
“Haan Jawed Bhai Jassi ki behan se baat ho gayi hai meri”
“To jaldi bata ki Sonali ka pata kya hai. Kahan rehti hai wo”
“Ye to pata nahin chal paya hai”
“Tum to abhi keh raha tha ki teri Jassi ki behan se baat huyi hai to kya tune usse poocha nahin”
“Poocha tha bhai lekin use kuch pata nahin. Keh rahi thi sirf Jassi ko hi pata hai aur usi se pata karna hoga humein. Jassi usse naraaz chal rahi hai kuch dino se kisi baat ko lekar aur dono ke beech mein bolchaal band hai. Isliye Jassi use bhi nahin batayegi. Humein Jassi se hi pata karna hoga. Waise usne kaha hai ki wo koshish karegi Jassi se Sonali ka pata poochne ki”
“Lekin Jassi hamein kahan milegi. Uske ghar to nahin jaa sakte na”
“Iska pata maine laga liya hai. Wo koi course kar rahi hai aur apne school ke paas wale institute mein padhne jaati hai subah 9 baje aur do ghante ki class khatam karke wapas 11 baje aa jaati hai. To isi beech mein usse mila ja sakta hai”
Jawed Bhai ko jis baat ka dar tha aakhir wohi hua. Pata nahin kitni fariyad ki thi unhone apne allah ke aage lekin shayad unki fariyaad mein hi kuch kami thi jo unki fariyaad allah ne nahin suni. Wo to Jawed Bhai ka dil majboot tha warna unko Heart-attack hi aa jaata.
Khair do chaar baat karke unhone phone rakh diya. Lekin unki himmat nahin ho rahi thi ki wo Jay ko phone kare. Isi tarah baithe baithe shaam ho gayi aur Jay ka phone aa gaya.
Jawed Bhai ne bhari man se Jay ko sab baatein batayi aur kal usse milne ke liye aane ko bolkar ek gehri soch mein doob gaye.
To be continued....
Kareem
13-Jan-2022 08:33 PM
Great
Reply
Swati chourasia
12-Oct-2021 07:27 PM
Very beautiful 👌
Reply
Shalini Sharma
30-Sep-2021 07:13 PM
Nice
Reply